ik rañj-e-umr de ke chalā hai kidhar mujhe
galiyoñ meñ rol deñ na mire bāl-o-par mujhe
dil parbatoñ ke paar na chal de havā ke saath
bādal banā na de mirī ḳhū-e-safar mujhe
maiñ ne jinheñ chhuā unheñ shahkār kar diyā
ai kaash chhū sake mirā dast-e-hunar mujhe
tum se bichhaḌ ke umr bhar ik soch hī rahī
kyā ho tum ek roz bhulā do agar mujhe
be-barg-o-bār kar ga.ī āñdhī mirā badan
ḳhush thā ye soch kar ki lage haiñ samar mujhe
ai dasht-dār dekh chaman-zār kī taraf
pag pag pukārte haiñ mire ham-safar mujhe
āzād kar 'najīb' giraftār-e-ramz ko
rañgoñ meñ khol ai mire rañg-e-hunar mujhe