Najeeb Ahmad

ishq-abaad faqiron ki ada rakhte hain

Najeeb Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1948
ishq-ābād faqīroñ kī adā rakhte haiñ
aur kyā is ke sivā ahl-e-anā rakhte haiñ
ham tahī-dast kuchh aise bhī tahī-dast nahīñ
kuchh nahīñ rakhte magar pās-e-vafā rakhte haiñ
zindagī bhar kī kamā.ī ye ta.alluq hī to hai
kuchh bache yā na bache is ko bachā rakhte haiñ
sher meñ phūTte haiñ apnī zabāñ ke chhāle
nutq rakhte haiñ magar sab se judā rakhte haiñ
ham nahīñ sāhib-e-takrīm to hairat kaisī
sar pe dastār na paikar pe abā rakhte haiñ
shahr āvāz kī jhilmil se damak uTTheñge
shab-e-ḳhāmosh kī ruḳh sham-e-navā rakhte haiñ
ik tirī yaad gale aise paḌī hai ki 'najīb'
aaj kā kaam bhī ham kal pe uThā rakhte haiñ
Top Urdushayar.com