āsmānoñ se zamīnoñ pe javāb aa.egā
ek din raat Dhale yaum-e-hisāb aa.egā
mutma.in aise ki har gaam yahī sochte haiñ
is safar meñ koī sahrā na sarāb aa.egā
ye javānī to buḌhāpe kī tarah guzregī
umr jab kaaT chukūñgā to shabāb aa.egā
kab mirī āñkhoñ meñ ḳhūñ-rañg kiran utregī
raat kī shāḳh pe kab aks-e-gulāb aa.egā
zard miTTī meñ ghulī sabz tavānā.ī 'najīb'
ab zarā aañkh lagī hai to ye ḳhvāb aa.egā