zamīñ se aage bhalā jaanā thā kahāñ maiñ ne
uThā.e rakkhā yūñhī sar pe āsmāñ maiñ ne
kisī ke hijr meñ shab se kalām karte hue
diye kī lau ko banāyā thā ham-zabāñ maiñ ne
shajar ko aag kisī aur ne lagā.ī thī
na jaane saañs meñ kyuuñ bhar liyā dhuāñ maiñ ne
kabhī to ā.eñge us samt se gulāb o charāġh
ye nahr yuuñ hī nikālī nahīñ yahāñ maiñ ne
mirī to aañkh mirā ḳhvāb TūTne se khulī
na jaane paañv dharā niiñd meñ kahāñ maiñ ne