tirā rañg-e-basīrat hū-ba-hū mujh sā nikal aayā
tujhe maiñ kyā samajhtā thā magar tū kyā nikal aayā
zarā sā kaam paḌte hī mizāj ik ḳhāk-zāde kā
qad-o-qāmat maiñ gardūñ se bhī kuchh ūñchā nikal aayā
zar-e-ḳhushbū khanaktā rah gayā dast-e-gul-e-tar meñ
dil-e-sāda ḳharīdār-e-dil-e-sāda nikal aayā
ajab ik mo.ajaza is daur meñ dekhā ki pahlū se
yad-e-baizā nikaltā thā magar kaasa nikal aayā
kahānī jab bhī dohrā.ī pas-e-har-ābla-pā.ī
vahī mahmil vahī majnūñ vahī sahrā nikal aayā
'najīb' ik vahm thā do chaar din kā saath hai lekin
tire ġham se to saarī umr kā rishta nikal aayā