maut se ziist kī takmīl nahīñ ho saktī
raushnī ḳhaak meñ tahlīl nahīñ ho saktī
mom ho jā.ūñ ki patthar se ḳhudā ho jā.ūñ
kisī sūrat mirī takmīl nahīñ ho saktī
kis liye saañs kī zanjīr se bāñdhā hai mujhe
aur kuchh sūrat-e-tazlīl nahīñ ho saktī
kis liye zinda huuñ maiñ kis ke liye zinda huuñ
jurm aisā hai ki tāvīl nahīñ ho saktī
in añdheroñ meñ lahū-rañg saveroñ kī 'najīb'
kyā firozāñ koī qindīl nahīñ ho saktī