Najeeb Ahmad

kiran to ghar ke andar aa gai thi

Najeeb Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1948
kiran to ghar ke andar aa ga.ī thī
sunahrī dhuup kyuuñ kajlā ga.ī thī
kuchh aisī be-hisī se pesh aayā
ki merī be-kasī sharmā ga.ī thī
chhanākā to mire andar huā thā
tirī āvāz kyuuñ bharrā ga.ī thī
vahī rishte vahī naate vahī ġham
badan se ruuh tak uktā ga.ī thī
janam pā kar janam paayā na maiñ ne
mujhe lafzoñ kī nāgan khā ga.ī thī
thakan meñ Dhal gayā lahja kisī kā
mirī ḳhvāhish ko bhī niiñd aa ga.ī thī
vo chiñgārī huā bāñheñ bikhere
lipaT kar mujh ko bhī jhulsā ga.ī thī
vo kab andar thā jo bāhar na aayā
'najīb' ik baat kyā samjhā ga.ī thī
Top Urdushayar.com