ai mah-e-hijr kyā kaheñ kaisī thakan safar meñ thī
ruup jo rahguzar meñ the dhuup jo rahguzar meñ thī
lafz kī shakl par na jā lafz ke rañg bhī samajh
ek ḳhabar pas-e-ḳhabar aaj kī har ḳhabar meñ thī
raat fasīl-e-shahr meñ ek shigāf kyā milā
ḳhuun kī ik lakīr sī sub.h nazar nazar meñ thī
merī nigāh meñ bhī ḳhvāb terī nigāh meñ ḳhvāb
ek hī dhun basī huī asr-e-ravāñ ke sar meñ thī
shahr pe ratjagoñ se bhī bāb-e-ufuq na khul sakā
vus.at-e-bām-o-dar 'najīb' vus.at-e-bām-o-dar meñ thī