Najeeb Ahmad

andhe badan mein ye sahar-asar kaun hai

Najeeb Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1948
andhe badan meñ ye sahar-āsār kaun hai
tū bhī nahīñ to mujh meñ sharar-bār kaun hai
vo kaun hai jo jāgtā hai merī niiñd meñ
asrār maiñ huuñ sāhab-e-asrār kaun hai
kis ne vafā ke naam pe dhokā diyā mujhe
kis se kahūñ ki merā gunahgār kaun hai
sab ne gale lagā ke gale se judā kiyā
pahchān hī nahīñ ki riyā-kār kaun hai
phir yuuñ huā ki mujh pe hī dīvār gir paḌī
lekin na khul sakā pas-e-dīvār kaun hai
merī sadā meñ kis kī sadā.eñ haiñ maujzan
naddī huuñ maiñ agar to mire paar kaun hai
mahbūs sab haiñ maslahatoñ ke hisār meñ
lekin ḳhud apnī dhun kā giraftār kaun hai
har aañkh meñ 'najīb' haiñ sapne base hue
is jāgte dayār meñ bedār kaun hai
Top Urdushayar.com