Najeeb Ahmad

yaqin ne mujhko asir-e-guman na rahne diya

Najeeb Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1948
yaqīñ ne mujh ko asīr-e-gumāñ na rahne diyā
ki us ne rabt koī darmiyāñ na rahne diyā
mirī nazar hī samundar kī āḳhirī had thī
mirī thakan ne mujhe par-fishāñ na rahne diyā
kisī ne kashtī utārī to thī samundar meñ
magar havā ne koī bādbāñ na rahne diyā
koī to barf-ba-kaf dasht kī taraf aayā
kisī ne bahr meñ paanī ravāñ na rahne diyā
har ek lafz meñ yuuñ kar diyā lahū shāmil
ki dāstāñ ko faqat dāstāñ na rahne diyā
'najīb' kis tarah jāgeñ ki in añdheroñ ne
sahar kā taarā sar-e-āsmāñ na rahne diyā
Top Urdushayar.com