dil ko har gaam pe dhaḌke se lage rahte haiñ
tujh ko kho dene ke ḳhadshe se lage rahte haiñ
sar to kaT jaate haiñ jismoñ se magar sadiyoñ tak
ḳhaak par ḳhuun ke dhabbe se lage rahte haiñ
jhaaḌ poñchh ek mire kaam nahīñ aa paa.ī
dar-o-dīvār pe jaale se lage rahte haiñ
pyaas uḌtī hai lab-e-hijr pe mānind-e-ġhubār
vasl kī jhiil pe pahre se lage rahte haiñ
dasht se shahr meñ tanhā.ī ke Dar le aa.e
shahr meñ bhī yahī khaTke se lage rahte haiñ
ḳhvāb jo dekhā nahīñ ham ne sar-e-ḳhvāb 'najīb'
is kī ta.abīr ke dhaḌke se lage rahte haiñ