terī duniyā se ye dil is liye ghabrātā hai
is sarā.e meñ koī aatā koī jaatā hai
tū ne kyā dil kī jagah rakkhā hai patthar mujh meñ
ġham se bhar jā.ūñ bhī to ronā nahīñ aatā hai
vo mire ishq kī gahrā.ī samajhtā hī nahīñ
rāsta duur talak jaa.e to bal khātā hai
phir bhalā kis ke liye itnī chamaktī hai ye ret
koī dariyā bhī nahīñ hai jo kahīñ jaatā hai
us ke hāthoñ meñ vo parkār hai jis se 'gauhar'
ghuum jaatī hai zamīñ āsmāñ chakrātā hai