zarūrat kuchh ziyāda ho na jaa.e
samundar aur gahrā ho na jaa.e
ye dhun ye mauj le Duube na mujh ko
bagūlā ġharq-e-sahrā ho na jaa.e
havā.eñ sar-barahna phir rahī haiñ
qabā-e-gul tamāshā ho na jaa.e
abhī kuchh tiir tarkash meñ bhī hoñge
purānā zaḳhm achchhā ho na jaa.e
qayāmat kī ghaḌī hai aaj sūraj
savā neze se ūñchā ho na jaa.e
vahī imkān jis se Dar rahe haiñ
vahī imkān paidā ho na jaa.e
mirī har baat sachchī ho rahī hai
'najīb' ik hashr barpā ho na jaa.e