Najeeb Ahmad

thakan se chur badan dhul mein aTa sar tha

Najeeb Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1948
thakan se chuur badan dhuul meñ aTā sar thā
maiñ jab girā to mire sāmne mirā ghar thā
tahī-e-samar shajar-e-ḳhvāb kuchh niDhāl se the
zamīñ pe sūkhī huī pattiyoñ kā bistar thā
usī kī aab thī us shab meñ raushnī kī lakīr
vo ek shaḳhs ki jo kāñch se bhī kam-tar thā
nahīñ ki gard haiñ saat āsmāñ hī gardish meñ
zamīñ kī tarah mire paañv meñ bhī chakkar thā
maiñ aaj bhī usī bastī meñ jī rahā huuñ jahāñ
kisī ke haath meñ ḳhanjar kisī ke patthar thā
baḌhā ke haath ḳhizāñ kī rutoñ ne noch liyā
havā ke jism pe jo ḳhushbuoñ kā zevar thā
saroñ pe abr-kushā dhuup kī tamāzat thī
'najīb' zer-e-qadam ret kā samundar thā
Top Urdushayar.com