zard pattoñ ko daraḳhtoñ se judā honā hī thā
ham ki dariyā haiñ samundar kī ġhizā honā hī thā
aur kab tak be-samar rakhtī ḳhizāñ peḌoñ ke haath
rut badal jaanā thī ye jañgal harā honā hī thā
rokne se kab havā ke narm jhoñke ruk sake
band darvāzoñ ko ik din nīm-vā honā hī thā
dhuul kab tak jhoñke ik dūsre kī aañkh meñ
ek din to jhuuT sach kā faisla honā hī thā
tez dhāroñ se bichhaḌ kar un kināroñ par 'najīb'
mauj-e-dariyā kī tarah be-dast-o-pā honā hī thā