Najeeb Ahmad

naw KHasta bhi na thi mauj mein dariya bhi na tha

Najeeb Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1948

naav ḳhasta bhī na thī mauj meñ dariyā bhī na thā

paar utartā thā magar tujh pe bharosa bhī na thā

zindagī haath na de paa.ī mire hāthoñ meñ

saath jaanā bhī na thā haath chhuḌānā bhī na thā

jin pe ik umr chalā thā unhī rastoñ pe kahīñ

vāpas aayā to mirā naqsh-e-kaf-e-pā bhī na thā

ġharq-e-duniyā ke liye dast-e-duā kyā uThte

koī is ghar meñ duā māñgne vaalā bhī na thā

har koī merā ḳharīdār nazar aayā mujhe

chaak par maiñ ne abhī ḳhud ko ubhārā bhī na thā

phailtā jaatā hai har saañs rag o pai meñ 'najīb'

ek sahrā jo abhī raah meñ aayā bhī na thā

Top Urdushayar.com