chup-chāp nikal aa.e the sahrā kī taraf ham
chalte hue kyā dekhte duniyā kī taraf ham
pāmāl kiye jaatī hai is vāste duniyā
baiThe haiñ tire naqsh-e-kaf-e-pā kī taraf ham
kis pyaas se ḳhālī huā mashkīza hamārā
dariyā se jo uTh aa.e haiñ sahrā kī taraf ham
kyā chāhtī hai niyyat-e-bāzār-e-zamāna
khiñchte chale jaate haiñ jo ashiyā kī taraf ham
ye ajnabī logoñ kī zarā bhiiḌ chhaTe to
jā.eñge kisī apne shanāsā kī taraf ham
'gauhar' ye zamīñ ham ko bahut yaad karegī
uTh jā.eñge jab ālam-e-bālā kī taraf ham