ain mumkin hai kisī roz qayāmat kar deñ
kyā ḳhabar ham tujhe dekheñ to baġhāvat kar deñ
mūnis-e-ġham hai hamārā so kahāñ mumkin hai
tujh ko dekheñ to tire hijr ko ruḳhsat kar deñ
pesh-goī kisī anjām kī jab miltī nahīñ
zindagī kaise tujhe vaqf-e-mohabbat kar deñ
us ko ehsās-e-nadāmt hai to phir luuT aa.e
shāyad is baar bhī ham us se ri.āyat kar deñ
sūfī-e-ishq kī masnad mire haath aa jaa.e
mere ahbāb agar mujh ko malāmat kar deñ
mausam-e-hijr bhī hañs detā hai jis vaqt tirī
yaad ke phuul ḳhayāloñ se sharārat kar deñ
āḳhirī baar use is liye dekhā shāyad
us kī āñkheñ mirī uljhan kī vazāhat kar deñ