shām-e-ġham afsurda-o-hairāñ the ham
log samjhe be-sar-o-sāmāñ the ham
tez thī itnī zamāne kī havā
pairahan-dar-pairahan uryāñ the ham
ham se be-ma.anī gurez-o-iḳhtilāf
ham-nashīñ do roz ke mehmāñ the ham
aaj apnī shahriyat mashkūk hai
ek din is mulk ke sultāñ the ham
zindagī kyā hashr kā maidān thī
apnī apnī fikr meñ ġhaltāñ the ham
munkashif the ham pe asrār-e-jamāl
rāz-dār-e-jalva-e-jānāñ the ham
thī hamīñ se garmī-e-mahfil 'qadīr'
dāstān-e-zīst ke unvāñ the ham