M. A. Qadeer

hum yun hi kisi se KHalish-e-jaan nahin kahte

M. A. Qadeer

ham yuuñ hī kisī se ḳhalish-e-jāñ nahīñ kahte
rūdād-e-alam tā-had-e-imkāñ nahīñ kahte
jo apne farā.ez se nipaTne meñ ulajh jaa.e
ham log use zulf-e-pareshāñ nahīñ kahte
karte hī nahīñ baat kabhī maslahat-āmez
makrūh ruḳhoñ ko mah-e-tābāñ nahīñ kahte
ab aise baḌe log zamāne meñ kahāñ haiñ
jo kar ke kisī par koī ehsāñ nahīñ kahte
jo shaam ho anvār-e-shahādat se munavvar
us shaam ko ham shām-e-ġharībāñ nahīñ kahte
tanqīd meñ karte haiñ jo insāf se parhez
dar-asl 'qadīr' un ko suḳhan-dāñ nahīñ kahte
Top Urdushayar.com