P P Srivastava Rind

faza mein karb ka ehsas gholti hui raat

P P Srivastava Rind

1950
fazā meñ karb kā ehsās gholtī huī raat
havas kī khiḌkiyāñ darvāze kholtī huī raat
ajiib rishte banātī hai toḌ detī hai
na.ī rutoñ ke safīroñ se boltī huī raat
ye dhaḌkanoñ ke añdhere ye zaḳhm zaḳhm charāg
kivāḌ ḳhālī makānoñ ke kholtī huī raat
athāh gahrā añdherā ġhazab kā sannāTā
fazā meñ dard kā tezāb gholtī huī raat
kidhar se aatī hai āvāra ḳhushbuoñ kī tarah
barhana jism ke saa.e TaToltī huī raat
na ratjagoñ ke haiñ charche na koī ġham kā alaao
sambhal ke aa.e zarā ghar meñ Doltī huī raat
kahāñ se lā.eñge sabr-o-sukūn ke lamhe
ki mere ghar meñ hai kohrām taultī huī raat
hamāre saath hai tanhā.iyoñ kī bhiiḌ meñ 'rind'
kisī ke lams kī ḳhairāt roltī huī raat
Top Urdushayar.com