aise bhī kuchh lamhe yaaro ā.eñge
ham mashkūk nazar se dekhe jā.eñge
nīñd-bharī āñkheñ bhī dhoka detī haiñ
jāgoge to ḳhvāb kahāñ se ā.eñge
un se parda-dārī ghar meñ mushkil hai
fursat ke lamhe haiñ aa.eñ jā.eñge
dhuul huā jaatā hai manzar rātoñ kā
ḳhvāboñ kā me.aar kahāñ se lā.eñge
sannāTā āvāra phirtā hai ghar meñ
ham us ko ab kaam dilā kar jā.eñge
mandir masjid gurūdvāre sab shashdar haiñ
ab raste ke patthar puuje jā.eñge
dhuup meñ baiThe señk rahe ho apnā badan
ye bhī manzar ab uryāñ kahlā.eñge
sūraj chhat se utar gayā to kyā ġham hai
andhiyāre meñ 'rind' kahīñ so jā.eñge