P P Srivastava Rind

pesh-e-manzar jo tamashe the pas-e-manzar bhi the

P P Srivastava Rind

1950
pesh-e-manzar jo tamāshe the pas-e-manzar bhī the
ham hī the māl-e-ġhanīmat ham hī ġhārat-gar bhī the
āstīnoñ meñ chhupā kar saañp bhī laa.e the log
shahr kī is bhiiḌ meñ kuchh log bāzīgar bhī the
barf-manzar dhuul ke bādal havā ke qahqahe
jo kabhī dahlīz ke bāhar the vo andar bhī the
āḳhir-e-shab dard kī TuuTī huī baisākhiyāñ
āḌe-tirchhe zāviye mausam ke chehre par bhī the
raat ham ne jugnuoñ kī sab dukāneñ bech diiñ
sub.h ko nīlām karne ke liye kuchh ghar bhī the
kuchh bilā-unvān rishte ajnabī sargoshiyāñ
ratjagoñ ke jashn meñ zaḳhmoñ ke saudāgar bhī the
shab-parastoñ ke nagar meñ but-parastī hī na thī
vahshateñ thiiñ sañg-e-marmar bhī thā kārīgar bhī the
is ḳharābe meñ na.e mausam kī sāzish thī to 'rind'
lazzat-e-ehsās ke lamhoñ ke jalte par bhī the
Top Urdushayar.com