P P Srivastava Rind

andhere DhunDne nikle khanDar kyun

P P Srivastava Rind

1950
añdhere DhūñDne nikle khañDar kyuuñ
ḳhudā jaane hue ye dar-ba-dar kyuuñ
ye bū ujḌe hue bāzār kī hai
mirī bastī huī nā-mo'tabar kyuuñ
samā.at munjamid sī ho rahī hai
magar sho.ala-bayānī par asar kyuuñ
agar ehsās hī hairat-zada hai
to kāñdhe par liye phirte ho sar kyuuñ
ye bojhal shaam kā dhundlā tasavvur
mire ehsās par chhāyā magar kyuuñ
mizāj-e-shahr meñ tabdīliyāñ haiñ
mire tevar badalte dekh kar kyuuñ
jahāñ patthar tarāshe jā rahe hoñ
vahāñ ḳhema lagā.eñ shīshagar kyuuñ
ḳhalā se dekhnā hai 'rind' duniyā
to phir Thahrūñ purāne chāñd par kyuuñ
Top Urdushayar.com