sāzishoñ kī bhiiḌ meñ tārīkiyāñ sar par uThā.e
baḌh rahe haiñ shaam ke saa.e dhuāñ sar par uThā.e
reg-zāroñ meñ bhaTaktī soch ke kuchh ḳhushk lamhe
talḳhi-e-hālāt kī haiñ dāstāñ sar par uThā.e
ḳhvāhishoñ kī aañch meñ tapte badan kī lazzateñ haiñ
aur vahshī raat hai gumrāhiyāñ sar par uThā.e
chand gūñgī dastakeñ haiñ ghar ke darvāze ke bāhar
chīḳh sannāToñ kī hai saarā makāñ sar par uThā.e
zehn meñ Thahrī huī hai ek āñdhī muddatoñ se
ham magar phirte rahe reg-e-ravāñ sar par uThā.e
ālam-e-lā-vārsī meñ jaane kab se dar-ba-dar huuñ
pusht par maazī ko laade qarz-e-jāñ sar par uThā.e
muztarib sī ruuh hai merī bhaTaktā phir rahā huuñ
maiñ ka.ī janmoñ se huuñ bār-e-girāñ sar par uThā.e
'rind' jab be-samtiyoñ meñ ḳhushk patte uḌ rahe hoñ
tohmateñ kis ke liye shām-e-ḳhizāñ sar par uThā.e