ehsās-e-be-talab kā hī ilzām do hameñ
rusvā.iyoñ kī bhiiḌ meñ in.aam do hameñ
ḳhuddāriyoñ kī dhuup meñ ārām do hameñ
sauġhāt meñ hī gardish-e-ayyām do hameñ
ehsās-e-lams jism kī is bhiiḌ meñ kahāñ
kaalī ruteñ gunāh kā paiġhām do hameñ
gum-sum hisār-e-rabt meñ hai lamha-e-azāb
ḳhvāhish kā karb fitrat-e-badnām do hameñ
be-zāriyoñ ko dasht-e-nafas meñ sameT kar
dard-āshnā junūn ke ahkām do hameñ
dasht-e-sarāb-e-sañg hai maazī kā iztirāb
gar ho sake to mustaqil ārām do hameñ
sauġhāt meñ milī hai mujhe rā.egāñ shafaq
kis ne kahā hai is kā bhī ilzām do hameñ
yādoñ kā ik hujūm hai ai 'rind' aur ham
fursat nahīñ hai in dinoñ ārām do hameñ