mamtā bharī nigāh ne rokā to Dar lagā
jab bhī shikār ziin se bāñdhā to Dar lagā
tanhā fasīl-e-shahr pe baiThī huī thī shaam
jab dhuñdlakoñ ne shor machāyā to Dar lagā
apne saroñ pe pagḌiyāñ bāñdhe hue the lafz
mazmūn jab nayā koī bāñdhā to Dar lagā
bujhte hue alaao meñ ātish-fishāñ bhī the
kohrām ratjagoñ ne machāyā to Dar lagā
ab daldalī zamīn bhī to ham-safar nahīñ
dasht-e-sarāb-e-sañg se guzrā to Dar lagā
vīrān sā.atoñ ke the ye āḳhirī nuqūsh
be-samtiyoñ ne ham ko batāyā to Dar lagā
āsūdgī ne thapkiyāñ de kar sulā diyā
ghar kī zarūratoñ ne jagāyā to Dar lagā
ai 'rind' uljhanoñ sī rahī be-karāñ sī soch
fikr-e-suḳhan meñ dard jo ubhrā to Dar lagā