har aa.ine meñ tirā hī dhuāñ dikhā.ī diyā
mirā vajūd hī mujh ko kahāñ dikhā.ī diyā
ye kaisī dhuup ke mausam meñ ghar se niklā huuñ
ki har parinda mujhe sā.ebāñ dikhā.ī diyā
maiñ apnī lahr meñ lipTā huā samundar huuñ
maiñ kyā karūñ jo tirā bādbāñ dikhā.ī diyā
kahā hī thā ki salām ai imām-e-ālī-maqām
hamārī pyaas ko āb-e-ravāñ dikhā.ī diyā
mirī nazar to ḳhalāoñ ne bāñdh rakkhī thī
mujhe zamīñ se kahāñ āsmāñ dikhā.ī diyā