ham dasht-e-be-karāñ kī azaañ ho ga.e to kyā
vahshat meñ ab kī baar ziyāñ ho ga.e to kyā
baasī ghuTan se ghar ke añdhere na kam hue
ham raat jugnuoñ kī dukāñ ho ga.e to kyā
uljhan baḌhī to chand ḳharābe ḳharīd laa.e
saude meñ ab kī baar ziyāñ ho ga.e to kyā
ghar meñ hamāre qaid rahā zindagī kā shor
ham be-zabān nazr-e-fuġhāñ ho ga.e to kyā
ham haiñ hamārā shahr hai puḳhta makān hai
kuchh maqbare nasīb-e-ḳhizāñ ho ga.e to kyā
sat-rañg āsmāñ kī dhanak hai tumhāre saath
ham daldalī zamīn yahāñ ho ga.e to kyā
jab dhuup āsmān ke hujre meñ so ga.ī
aaseb tīrgī ke javāñ ho ga.e to kyā
patjhaḌ ne jab se maañg sajā.ī hai apnī 'rind'
ham suunī rahguzar kā nishāñ ho ga.e to kyā