maanā ki zalzala thā yahāñ kam bahut hī kam
bastī meñ bach ga.e the makāñ kam bahut hī kam
mere lahū kā zā.iqa chakhtā rahā thā dard
tanhā.iyāñ thiiñ raat jahāñ kam bahut hī kam
kāñToñ ko sīñchtī rahī parchhā.iyoñ kī fasl
jab dhuup kā thā nām-o-nishāñ kam bahut hī kam
āñgan meñ dhuup dhuup ko oḌhe udāsiyāñ
ghar meñ the zindagī ke nishāñ kam bahut hī kam
maflūj raat karb ke bistar pe leT kar
kartī hai ab to āh-o-fuġhāñ kam bahut hī kam
kyuuñ dostoñ kī bhiiḌ se ghabrā na jaa.e dil
dushman to rah ga.e haiñ yahāñ kam bahut hī kam
ham jab se pattharoñ kī tijārat meñ lag ga.e
hai dosti-e-shīsha-garāñ kam bahut hī kam
itnī azīyatoñ se guzarne ke ba.ad 'rind'
ḳhud par hai zindagī kā gumāñ kam bahut hī kam