raat ke gumbad meñ yādoñ kā baserā ho gayā hai
chāñd kī qindīl jalte hī ujālā ho gayā hai
ḳhāmushī kī āñdhiyāñ bāġhī nazar aatī haiñ mujh ko
raat kaalī hai to sannāTā bhī kaalā ho gayā hai
ab mohabbat hai muravvat hai na ab inkisārī
aaj ke is daur meñ har shaḳhs nañgā ho gayā hai
qissa-e-reg-e-ravāñ jab āñdhiyoñ kī zad pe aayā
dhund kā hairat-zada aaseb tanhā ho gayā hai