P P Srivastava Rind

nashat-e-dard ke mausam mein gar nami kam hai

P P Srivastava Rind

1950

nashāt-e-dard ke mausam meñ gar namī kam hai

fazā ke barg-e-shafaq par bhī tāzgī kam hai

sarāb ban ke ḳhalāoñ meñ gum nazāra-e-samt

mujhe lagā ki ḳhalāoñ meñ raushnī kam hai

ajiib log haiñ kāñToñ pe phuul rakhte haiñ

ye jānte hue in meñ muqaddarī kam hai

na koī ḳhvāb na yādoñ be-karāñ hujūm

udaas raat ke ḳheme meñ dilkashī kam hai

maiñ apne-āp meñ bikhrā huā huuñ muddat se

agar maiñ ḳhud ko sameTūñ to zindagī kam hai

khulī chhatoñ pe dupaTTe havā meñ uḌte nahīñ

tumhāre shahr meñ kyā āsmān bhī kam hai

purānī soch ko samjheñ to koī baat bane

jadīd fikr meñ ehsās-e-naġhmagī kam hai

kahāñ se lāoge ai 'rind' mo'tabar mazmūn

ġhazal meñ jabki rivāyat chāshnī kam hai

Top Urdushayar.com