P P Srivastava Rind

nim ke patton ka zaKHmon ko dhuan de dijiye

P P Srivastava Rind

1950
niim ke pattoñ kā zaḳhmoñ ko dhuāñ de dījiye
phir mirī āñkhoñ ko pahre-dāriyāñ de dījiye
ho sake to ye navāzish ham faqīroñ par kareñ
bujhte rañgoñ kā hameñ ye āsmāñ de dījiye
shab-parastoñ ko bhī taskīn-e-anā mil jā.egī
un kā haq hai un ko shab-bedāriyāñ de dījiye
shāḳh par kāñToñ ko pairāhan badalne ke liye
mausamoñ ko shabnamī be-samtiyāñ de dījiye
be-hisī kā ḳhushk sā sahrā hai āñkhoñ meñ mirī
dhūl-e-manzar se to kuchh tuġhyāniyāñ de dījiye
dhundalke to nauha-ḳhvānī meñ bahut masrūf haiñ
raat zaḳhmī hai use baisākhiyāñ de dījiye
ārizī mausam ko bhī ehsās-e-mahrūmī na ho
ghar ke sannāToñ ko ehsās-e-ziyāñ de dījiye
dhuup meñ thoḌī sī gunjā.ish nikal aa.e to 'rind'
ek muTThī chhāñv kā hī sā.ebāñ de dījiye
Top Urdushayar.com