P P Srivastava Rind

ufuq pe dudhiya saya jo panw dharne laga

P P Srivastava Rind

1950
ufuq pe dūdhiyā saaya jo paañv dharne lagā
muhīb raat kā shīrāza hī bikharne lagā
tamām umr jo laḌtā rahā mire andar
mirā zamīr hī mujh se farār karne lagā
safar meñ jab kabhī lā-samtiyoñ kā zikr huā
hamārā qāfila tūl-e-safar se Darne lagā
sulag rahā hai kahīñ duur dard kā jañgal
jo āsmān pe kaḌvā dhuāñ bikharne lagā
chaḌhī nadī ko maiñ pāyāb kar ke kyā aayā
tamām shahr hī dariyā ke paar karne lagā
ajiib karb se guzrā hai jugnuoñ kā julūs
kahāñ Thaharnā thā is ko kahāñ Thaharne lagā
hamāre saath rahī hai safar meñ be-ḳhabarī
junūñ meñ soch kā imkān kaam karne lagā
bahut ajiib hai bātin kī gumrahī ai 'rind'
sukūt-e-zāhirī TukḌoñ meñ thā bikharne lagā
Top Urdushayar.com