be-ta.alluq ruuh kā jab jism se rishta huā
ghar meñ lā-vāris pas-e-manzar kā sannāTā huā
dhuup lahje meñ nokīlāpan kahāñ se lā.egī
ham ne dekhā hai shafaq-sūraj abhī bujhtā huā
chāhtā hai dil kisī se raaz kī bāteñ kare
phuul aadhī raat kā āñgan meñ hai mahkā huā
surḳh mausam kī kahānī to purānī ho ga.ī
khul gayā mausam to saare shahr meñ charchā huā
āsmāñ zahrāb-manzar gum-shuda bezāriyāñ
lams tanhā.ī kā lagtā hai mujhe Dastā huā
har taraf rotī huī ḳhāmoshiyoñ kā shor hai
dekhnā ye merī bastī meñ achānak kyā huā
jism merā jāgtā hai donoñ āñkheñ band haiñ
aur sannāTā hai merī ruuh tak utrā huā
āfiyat gar chāhte ho 'riñd' vāpas ghar chalo
ab tamāshā-gāh kā manzar hai kuchh bigḌā huā