ye jo sūraj hai ye sūraj bhī kahāñ thā pahle
barf se uThtā huā ek dhuāñ thā pahle
mujh se ābād huī hai tirī duniyā varna
is ḳharābe meñ koī aur kahāñ thā pahle
ek hī dā.ere meñ qaid haiñ ham log yahāñ
ab jahāñ tum ho koī aur vahāñ thā pahle
us ko ham jaise ka.ī mil ga.e majnūñ varna
ishq logoñ ke liye kār-e-ziyāñ thā pahle
ye jo ab ret nazar aatā hai afzal 'gauhar'
isī dariyā meñ kabhī āb-e-ravāñ thā pahle