chaltī rahī us kūche meñ talvār hamesha
lāshe hī nikalte rahe do-chār hamesha
gil khulte raheñ chahchahe kartā rahe bulbul
yā-rab rahe ābād ye gulzār hamesha
ham riñd hue shāhid-e-maqsūd se vāsil
jhagḌe meñ rahe kāfir o dīñ-dār hamesha
yaañ tuḳhm-e-tamannā se ugā kartā hai laala
gul khāte haiñ har fasl meñ do-chār hamesha
taḌpā kareñ kūche meñ tire saikḌoñ kushte
rañgīñ rahe ḳhuuñ se tirī talvār hamesha
dīvāne haiñ maa.il hoñ agar hūr-o-parī ke
jo dekh rahe huuñ tirā dīdār hamesha
mujh tishna-e-dīdār ko kis roz chhakāyā
pyāsā hī rahā ḳhuuñ kā vo ḳhuñḳhār hamesha
mushtāqoñ ne tere na liyā kauḌiyoñ ke mol
biktā rahā yūsuf sar-e-bāzār hamesha
hai zulf-e-musalsal tirī yā dām-e-balā hai
ho rahte haiñ do-chār giraftār hamesha
kyūñ-kar tū masīhā huā mash.hūr jahāñ meñ
marte haiñ tire haath se bīmār hamesha
hañgāme na.e roz huā karte haiñ barpā
fitne hī uThātī hai vo raftār hamesha
ai 'rind' junūñ meñ bhī na sahrā ko ga.e ham
khāyā kiye patthar sar-e-bāzār hamesha