ulfat na karūñgā ab kisī kī
dushman huā jis se dostī kī
hālat kahūñ apnī be-ḳhudī kī
dil de ke suno jo mere jī kī
avval avval bhalā.iyāñ kiiñ
āḳhir āḳhir bahut burī kī
masrūf hai sīna-kūbī meñ dil
aatī hai sadā dhaḌā-dhaḌī kī
ulfat pe terī ḳhātma hai
ab le le qasam tū āshiqī kī
karte rahe iḳhtirā.a aaphī
taqlīd na kī kabhī kisī kī
rone pe mere hañste haiñ aap
hañs lījiye baat hai hañsī kī
kyūñkar na farefta ho insāñ
tan huur kā shakl hai parī kī
shīrīñ-dahno nahīñ hai zebā
tum bāteñ karo na phīkī phīkī
dīvāna huā huuñ ik parī kā
taqsīr ye hai to vāqa.ī kī
be-yār hai dil kabāb-e-sāqī
taklīf na kar tū mai-kashī kī
āñkheñ laḌīñ tujh se maiñ huā qatl
in turkoñ ne jañg-e-zargarī kī
karne do badī jo karte haiñ ġhair
suntā nahīñ 'rind' vo kisī kī