Rind Lakhnavi

chhup ke ghar ghair ke jaya na karo

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
chhup ke ghar ġhair ke jaayā na karo
rabt har ik se baḌhāyā na karo
ai buto baal banāyā na karo
saañp hāthoñ pe khelāyā na karo
sabza-e-ḳhat ko dikhāyā na karo
tote hāthoñ ke uḌāyā na karo
riñd ġham hijr kā khāyā na karo
jaan ko apnī khapāyā na karo
tazkira ġhair kā laayā na karo
jale ko aur jalāyā na karo
muñh ko ġhunche ke chiḌāyā na karo
gul ko khillī meñ uḌāyā na karo
mudda.ā jo ho zabāñ se kaho saaf
harf-e-matlab ko chabāyā na karo
apnā samjho mirā dil shauq se lo
merī jaañ apnā parāyā na karo
mujh ko bhī yaad haiñ fiqre sāhib
joḌ bande pe banāyā na karo
ḳhud maiñ dam-bāz huuñ hai dhyān kidhar
mujh ko fiqroñ meñ uḌāyā na karo
hosh meñ aao parī-zādo tum
mujh ko dīvāna banāyā na karo
ham lahū thuuk ke mar jā.eñge
laalī hoñToñ pe jamāyā na karo
log saudā.ī hue jaate haiñ
dhaḌī missī kī lagāyā na karo
ho na añgusht-numā misl-e-hilāl
jaan nauchandī meñ jaayā na karo
ai buto apne ḳhudā ko maano
ka.aba-e-dil ko to Dhāyā na karo
maiñ to hāzir huuñ vafādārī meñ
tum karo mujh se vafā yā na karo
dhoke dariyā meñ bhabūkā se haath
aag paanī meñ lagāyā na karo
mujh se ḳhalvat kī mulāqāt rahe
roz jalvat meñ bulāyā na karo
vāste bande ke bad-nāmī hai
jaan sohbat meñ biThāyā na karo
dekhne vāloñ kī jānib dekho
is tarah aañkh churāyā na karo
sharm bejā hai burā karte ho
achchhī sūrat ko chhupāyā na karo
jaao dariyā pe na tum ġhair ke saath
aise meñDhe to laḌāyā na karo
daañt piisā na karo āshiq par
jaan yuuñ hoñTh chabāyā na karo
chaar din vasl meñ hañs lene do
aaTh aaTh aañsū rulāyā na karo
log bad-vaza.a kaheñge tum ko
mele-Thele kabhī jaayā na karo
jaan kis kaam kā ye bholā-pan
dam meñ har ek ke aayā na karo
āshiqoñ kī burī gat hotī hai
tum sitārī to bajāyā na karo
hazrat-e-dil yahī farmāte haiñ
ishq-e-ma.ashūq chhupāyā na karo
ḳhush nahīñ aatā agar merā kalām
to ġhazal bhī mirī gaayā na karo
thāmo ab qabza-e-shamshīr ai 'rind'
koft par koft uThāyā na karo
Top Urdushayar.com