Rind Lakhnavi

qabr par howen do na chaar daraKHt

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
qabr par hoveñ do na chaar daraḳht
ek kaafī hai sāya-dār daraḳht
thā maiñ dīvāna gor par hai zarūr
bed-e-majnūñ kā sāya-dār daraḳht
hoñ vo bad-baḳht mere saa.e se
ḳhushk hote haiñ bār-dār daraḳht
tū jo ai sarv baaġh meñ jaa.e
samar o gul kareñ nisār daraḳht
past hoñ tujh se ġhairt-e-tūba
ek kyā hoñ agar hazār daraḳht
vāh-re mere aah ke jhoñke
uḌte phirte haiñ kāh-vār daraḳht
maiñ jo tāsīr-e-āh dikhlā.ūñ
koh hil jaa.eñ darkinār daraḳht
bāġh-e-hastī meñ zof-e-pīrī se
'rind' huuñ misl-e-bīkH-ḳhār daraḳht
bāġhbāñ kyuuñ na jaane is ko fuzūl
kar chuke apnī jab bahār daraḳht
Top Urdushayar.com