zamāne meñ vo mah-laqā ek hai
hazāroñ meñ vo dilrubā ek hai
ḳhudāvand-e-arz-o-samā ek hai
qasam hai ḳhudā kī ḳhudā ek hai
barābar hai apnā vajūd o adam
hamārī baqā aur fanā ek hai
adam ibtidā hai adam intihā
mirī ibtidā intihā ek hai
na hoñge ye hādis rahegā qadīm
ġharaz sab haiñ faanī baqā ek hai
zarā ġhaur se mir.āt-e-dil ko dekh
ye ā.īna-e-haq-numā ek hai
jinheñ kufr o ilhād kahtā hai shaiḳh
faqat pher hai rāstā ek hai
jahāñ meñ haiñ ġhāfil bahut se tarīq
magar rāh-e-sidq-o-safā ek hai
ma.āl-e-suḳhan zikr hai yaar kā
kahūñ sau tarah mudda.ā ek hai
mahal faqr kā hai ajā.ib maqām
yahāñ masnad o boriyā ek hai
kahāñ us ke aage kisī kā faroġh
vo ḳhurshīd-rū mah-laqā ek hai
fazīlat milī ek ko ek par
ġharaz ek se yaañ sivā ek hai
bachegā na kāvish se mizhgāñ ke dil
ki nashtar bahut aabla ek hai
jafākār dam-bāz kāzib muhīl
maiñ vāqif huuñ vo bevafā ek hai
hai amboh-e-ushshāq iisā ke ghar
marīz itne dārushshifā ek hai
nahīñ bachtā donoñ kā maarā huā
tirī zulf aur azhdahā ek hai
na aanā tū us zulf ke pech meñ
are dil vo kaalī balā ek hai
hazāroñ shahīd-e-mohabbat haiñ dafn
galī us kī aur karbalā ek hai
har ik dard kā hai mudāvā vo lab
maraz saikḌoñ haiñ davā ek hai
duī ko na de dil meñ ġhāfil jagah
zabāñ ek hai aur ḳhudā ek hai
kahoge jo kuchh to sunoge bhī 'rind'
hañsī meñ to shaah o gadā ek hai