zulfeñ chhoḌīñ haiñ ki joḌā us ne chhoḌā saañp kā
dekhiye kis kis ko Dastā hai ye joḌā saañp kā
gore gāloñ par tire zulfeñ ye lahrātī nahīñ
yāsmīñ-zār-e-sabāhat meñ hai joḌā saañp kā
ishq un zulfoñ kā mujh se tark hone kā nahīñ
hai mirā ham-zād ai nāseh ye joḌā saañp kā
donoñ zulfeñ yaar kī ulTī haiñ bāloñ par mire
vajd kartā hai sadā-e-nai ye joḌā saañp kā
muñD ga.iiñ zulfeñ haiñ shā.er kis se ab deñge misāl
ho gayā tashbīh kī ḳhātir bhī toḌā saañp kā
umr bhar dil ko ḳhayāl-e-gesū-e-pechāñ rahā
dhyān is nādān ne hargiz na chhoḌā saañp kā
nuqra.ī mūbāf choTī meñ rahā un kī sadā
keñchulī ne umr bhar pīchhā na chhoḌā saañp kā
paḌ ga.ī īzā-dahandī kī tirī zulfoñ ko ḳhū
kāTtā hai uḌ ke āshiq ko ye joḌā saañp kā
kuchh samajh kar rahā huuñ yaar kī zulfoñ kī dāsht
pāltā huuñ apne kaTvāne ko joḌā saañp kā
shaam se un gesuoñ kī yaad meñ jo so rahā
ḳhvāb meñ dekhā kiyā tā-sub.h joḌā saañp kā
ishq meñ gesū o abrū ke agar denī hai jaan
nīsh-e-aqrab khā ke pī le zahr thoḌā saañp kā
vāste muuzī ke āḳhir meñ bhī muuzī ban gayā
sar kisī hālat meñ be-kuchle na chhoḌā saañp kā
ishq-e-gesū meñ na qatra bhī talaf hone diyā
zahr saarā halaq meñ maiñ ne nichoḌā saañp kā
ḳhat pe aate haiñ bahut lahrā ke gesū yaar ke
sabza-e-nau-ḳhez par ġhash hai ye joḌā saañp kā
halqa-e-gesū-e-shab ko zarra-e-afshāñ chunī
raat ko chun chun ke ik ik daañt toḌā saañp kā
har qadam par maar kar sar kar rahā hai nāg-pech
ab chalan sīkhā hai is muuzī ne thoḌā saañp kā
dushman-e-jānī ko apne dī na iizā 'rind' ne
daañt hī toḌā na chhālā us ne phoḌā saañp kā