yaar aayā hai ahvāl-e-dil-e-zār dikhāo
iisā ko zarā hālat-e-bīmār dikhāo
aa jaao bas ab raah na ai yaar dikhāo
mushtāq huuñ mushtāq huuñ dīdār dikhāo
aalam hai so hai hijr meñ yaañ josh-e-junūñ kā
sahrā mujhe dikhlāo ki gulzār dikhāo
fardā-e-qayāmat kā na iqrār karo jaañ
lo hashr sahī aaj hī dīdār dikhāo
āshiq haiñ bahut ek to chun kar koī mujh sā
pushte kī tarah pusht-ba-dīvār dikhāo
aalam nazar aa jaa.e bahār aur ḳhizāñ kā
ham zard hoñ tum phuul se ruḳhsār dikhāo
talvār lagāo mujhe golī se na maaro
til Dhāñk lo aur abru-e-ḳhamdār dikhāo
har dam mutaqāzī hai yahī hasrat-e-dīdār
phir ek nazar jalva-e-dildār dikhāo
farmāte ho āshiq haiñ mire tujh se hazāroñ
ai jaan ziyāda nahīñ do-chār dikhāo
ishq abrū o mizhgāñ kā buto saath hai dam ke
ḳhanjar mujhe dikhlāo ki talvār dikhāo
maiñ qabr se bhī 'rind' yahī kahtā uThūñgā
mushtāq huuñ mushtāq huuñ dīdār dikhāo