Rind Lakhnavi

hairan si hai bhachak rahi hai

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
hairān sī hai bhachak rahī hai
nargis kis gul ko tak rahī hai
aa.ī hai bahār ġhunche chaTke
kyā phūloñ kī bū mahak rahī hai
mai-ḳhāne pe meñh baras rahā hai
bijlī kaisī chamak rahī hai
baaqī hai asar abhī junūñ kā
saudā to gayā hai jhak rahī hai
pūchho na jalan kā dil ke ahvāl
ik aag paḌī dahak rahī hai
nargis ko to aañkh uThā ke dekho
kis yaas se tum ko tak rahī hai
lailā majnūñ kā raTtī hai naam
dīvānī huī hai bak rahī hai
paiġhām-e-bahār aan pahuñchā
bulbul kyā kyā chahak rahī hai
mizhgāñ kā jo dil meñ hai tasavvur
ik phāñs paḌī khaTak rahī hai
ho jā.egā raam rafta rafta
vahshat to miTī jhijak rahī hai
baaqī jo ye jān-e-nā-tavāñ hai
kyā zindoñ meñ hai sisak rahī hai
aane kī tire hī muntazir hai
o maut kahāñ tū thak rahī hai
kyā shoḳh hai vo sunahrī rañgat
kandan kī tarah damak rahī hai
rū-e-rañgīñ araq-fishāñ hai
shabnam gul se Tapak rahī hai
ham 'rind' haiñ bazm apnī kis raat
be-jām-e-mai o gazak rahī hai
Top Urdushayar.com