muñh na Dhāñko ab to sūrat dekh lī
dekh lī ai hūr-e-tal.at dekh lī
shakl badlī aur sūrat ho ga.ī
ik nazar jis ne vo sūrat dekh lī
ek but sajda nahīñ kartā tujhe
bas ḳhudāyā terī qudrat dekh lī
hai ayaañ hāl-e-sag-e-as.hāb-e-kahf
jānvar kī ādamiyyat dekh lī
chaar din bhī to na tum se nibh sakī
aap kī sāhab-salāmat dekh lī
jānte the ham na iizā hijr kī
vo bhī sāhib kī badaulat dekh lī
ghūrte haiñ ab nigāh-e-qahr se
chaar din chashm-e-ināyat dekh lī
kyuuñ ajal ab zahr pisvātā huuñ maiñ
raah terī ek muddat dekh lī
khul ga.ī bande pe qadr-o-manzilat
thī jo sāhib kī haqīqat dekh lī
jā ke ghar jhūToñ na pūchhī baat tak
bas tirī jhūTī mohabbat dekh lī
us se kah aadat se jo vāqif na ho
dekh lī ḳhū terī ḳhaslat dekh lī
bahr-e-hastī meñ faqat misl-e-habāb
hai mujhe ik dam kī mohlat dekh lī
aap hairāñ hogā apne husn kā
ā.īne meñ gar vo sūrat dekh lī
chāñdnī rātoñ meñ chillātā phirā
chāñd sī jis ne vo sūrat dekh lī
phir vahī hai boriyā aur apnā faqr
chaar din kī jāh-o-hashmat dekh lī
kyuuñ churātā hai vo kāfir mujh se aañkh
kyā nigāh-e-chashm-e-hasrat dekh lī
yaad aayā 'rind' vo paimāñ-shikan
gar kahīñ bāham mohabbat dekh lī