sadme guzre iizā guzrī
hijr meñ tere kyā kyā guzrī
hijr meñ jaan rahī yā guzrī
'riñd' kaho tum par kyā guzrī
kyā kahūñ tujh se hāl-e-furqat
guzrī jo kuchh jaanā guzrī
ulfat-e-but ne kar diyā kāfir
ye kyā bār-e-ḳhudāyā guzrī
aa.e nahīñ tum arsa guzrā
man.a kiyā kis ne kyā guzrī
guzre jis dam ham duniyā se
ham ne jaanā duniyā guzrī
bahr-e-jahāñ meñ ziist hamārī
shakl-e-habāb-e-dariyā guzrī
kis se kahiye kaun sunegā
kyā kyā guzrā kyā kyā guzrī
kahtā thā maiñ ishq se baaz aa
dekhā jo dil-e-shaidā guzrī
mar bhī ga.e ham vāh-rī ġhaflat
un ko ḳhabar bhī na aslā guzrī
ab to hai shaġhl-e-ḳhūñ-āshāmī
naubat-e-jām-o-mīnā guzrī
kāfir par bhī na guzre aisī
ham par jo but-e-tarsā guzrī
vaqt-e-marg ye jī meñ guzrā
zindagī apnī bejā guzrī
naala kaisā aah nahīñ kī
kyā kyā tujh bin iizā guzrī
TuuT chukā hai rishta-e-ulfat
yaas hai ab to tamannā guzrī
dūsrā tujh sā koī na dekhā
pesh-e-nazar ik duniyā guzrī
dekh ke hāl-e-marīz-e-furqat
hālat ham pe masīhā guzrī
qābil-e-dīd na dekhīñ āñkheñ
muddat nargis-e-shahlā guzrī
ġhash kyuuñ aayā ham se to kahiye
kyā kuchh hazrat-e-mūsā guzrī
kyūñ-kar jhelī āfat-e-furqat
'rind' kaho dil par kyā guzrī