na añgiyā na kurtī hai jaanī tumhārī
nahīñ paas koī nishānī tumhārī
huī 'rind' to zindagānī tumhārī
yahī hai agar nā-tavānī tumhārī
ziyāda huī yaad jaanī tumhārī
ġharaz qahr hai mehrbānī tumhārī
na bhūlūñgā hargiz na bhūlā huuñ ab tak
ināyat karam mehrbānī tumhārī
shabīh aap kī khīñch degā ye maanā
adā kis tarah khīñche maanī tumhārī
tabāh-o-ḳharāb ik jahāñ ko kiyā hai
ḳhudā kā ġhazab hai javānī tumhārī
vahī kah rahā huuñ jo farmāte ho tum
mirī guftugū hai zabānī tumhārī
barābar samajhte ho ġhairoñ ke mujh ko
rahe mehrbāñ qadrdānī tumhārī
dil o diida lapkā hai phañsne kā tum ko
kahāñ tak karūñ pāsbānī tumhārī
bas ab shakl dikhlāo be-jā hai ġhamza
bahut sun chuke lan-tarānī tumhārī
adam ko chalā le ke dāġh-e-mohabbat
dikhā.ūñgā sab ko nishānī tumhārī
kiyā imtihāñ merā sau ma.arakoñ meñ
vahī hai magar bad-gumānī tumhārī
jagā kar dil-e-zār ne hijr kī shab
sahar tak kahī hai kahānī tumhārī
burā gar na maano to sach sach maiñ kah duuñ
tum achchhe burī bad-zabānī tumhārī
karam kījiye aa.iye hazrat-e-ishq
hai ḳhūn-e-jigar mehmānī tumhārī
abas be-sabab be-jahat rūThte ho
yahī to barī ḳhū hai jaanī tumhārī
bhalā tum hī munsif ho lillāh bolo
vo kyā baat thī jo na maanī tumhārī
vo piirī meñ bhī 'rind' dekhe ab aa kar
jise yaad hove javānī tumhārī