Rind Lakhnavi

rakkho KHidmat mein mujhse kaam to lo

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
rakkho ḳhidmat meñ mujh se kaam to lo
baat karte nahīñ salām to lo
mai piyo tum surūr ho mujh ko
haath se mere ek jaam to lo
baat tum ne nahīñ kī ġhair se kal
sar pe allāh kā kalām to lo
banda hotā huuñ aap kā be-dām
hove darkār agar ġhulām to lo
nāz-o-andāz husn-o-ḳhūbī meñ
kaun hai tum sā us kā naam to lo
aap farmā.eñ jo bajā lā.ūñ
kabhī mujh se bhī koī kaam to lo
muñh se aane lagegī itr kī bū
nām-e-gesu-e-mushk-e-fām to lo
pahle kar lo rasā.ī zulf talak
silsile ko junūñ ke thaam to lo
phir taḌap lījiyo giraftāro
dam bhar ārām zer-e-dām to lo
mai piyo jo nahīñ pilāte ho
mujh ko dete nahīñ ho jaam to lo
nāz-bardār dūsrā mujh sā
kaun āshiq hai us kā naam to lo
'rind' hāzir haiñ shīsha-o-sāġhar
mai na samjho agar harām to lo
Top Urdushayar.com