ik parī kā phir mujhe shaidā kiyā
ishq ne phir mufsida barpā kiyā
aaj phir us shoḳh ne fuqarā kiyā
va.ada-e-imroz bhī fardā kiyā
ḳhūn-e-nāhaq ik musalmāñ kā kiyā
kyā ġhazab o shoḳh-e-be-parvā kiyā
dil ko maa.il sho.ala-rūoñ kā kiyā
dīn-e-zardashtī ko phir ahyā kiyā
abr akasr us baras barsā kiyā
kyā tatabbo dīda-e-tar kā kiyā
kyuuñ ajal kyā tujh ko bhī maut aa ga.ī
is qadar aane meñ kyuuñ arsa kiyā
kaan kī bijlī jo yaad aa.ī tirī
barq ke mānind maiñ taḌpā kiyā
vo kaf-e-pā-e-hinā.ī kar ke yaad
hijr kī shab eḌiyāñ ragḌā kiyā
us ko bhī sakta huā dekh ā.īna
der tak hairat se muñh dekhā kiyā
ḳhaak chhānī muddatoñ tinke chune
kyā kahūñ is ishq meñ kyā kyā kiyā
kal na pāoge hameñ kahiyo safīr
aaj aane meñ agar hiila kiyā
vaañ hue missī se lab un ke kabūd
piiT kar muñh ham ne yaañ niilā kiyā
tab uThe haiñ un butoñ ke ham se naaz
jab kalejā apnā patthar kā kiyā
hai girah mū-e-kamar kī nāf-e-yār
fikr ne apne ye uqda vā kiyā
laag paidā kar ke ab jallād se
jaan khoī haa.e dil ne kyā kiyā
dañḌ pe bāñdhā ham ne joshan kī tarah
harz-e-jāñ qātil tirā chhallā kiyā
mujh ko majnūñ kar diyā mānind-e-qais
sehr kuchh aur ġhairat-e-lailā kiyā
ma.arke meñ ishq ke sarkā na paañv
aabrū ko jaan ko sadqa kiyā
soz-e-furqat ne sharārat mujh se kī
haizam-e-tar kī tarah sulgā kiyā
ai shab-e-furqat na kar mujh par azaab
maiñ ne terā muñh nahīñ kaalā kiyā
zulf-e-jānāñ jis ne dekhī ek baar
dil se apne umr bhar uljhā kiyā
is musībat se shab-e-furqat kaTī
paañv piiTe aah kī naala kiyā
ishq afshān-e-jabīn-e-yār meñ
ḳhaak chhalnī kī tarah chhānā kiyā
thā munāsib tark-e-ishq-e-yār 'rind'
aap ne ansab kiyā aulā kiyā