chaḌhī tere bīmār-e-furqat ko tab hai
bashiddat qalaq hai nihāyat ta.ab hai
marīz-e-mohabbat tirā jāñ-ba-lab hai
tajāhul sitam hai taġhāful ġhazab hai
vo aafat hai aafat hai aafat hai aafat
ġhazab hai ġhazab hai ġhazab hai ġhazab hai
galī yaar kī hai qadam rakhkhūñ kyūñ-kar
chalūñ sar ke bal yaañ maqām-e-adab hai
jo abrū dikhāyā to aariz bhī dikhlā
vo qur.ān hai ye hilāl-e-rajab hai
huī sub.h-e-pīrī kaTī ab javānī
ye jalnā faqat sham.a-sāñ shab kī shab hai
vo zulf-e-siyah hai ki mushk-e-ḳhutan hai
nahīñ ḳhat savād-e-dayār-e-halab hai
khulā kuchh na mujh par na aane kā manshā
jihat kuchh to farmā.iye kyā sabab hai
jo shajara thā majnūñ kā shajara hai merā
jo thā qais kā silsila vo nasab hai
ġhanīmat samajh vaqt-e-fursat ko ġhāfil
na haath aa.egā phir ye mauqa.a jo ab hai
ḳhudā kī ḳhudā.ī kā jalva hai o but
ye husn-e-javānī nahīñ shān-e-rab hai
karūñ kyuuñ na sāmān-e-ishrat muhayyā
shab-e-vasl-e-dilbar urūsī kī shab hai
jise log kahte haiñ shāh-e-ḳhurāsāñ
vo be-shubah ibn-e-amīr-e-arab hai
ġhulām us kā huuñ jo hai kausar kā saaqī
jabhī 'rind' mai-ḳhvār merā laqab hai